Hyper Al Wafa: A Complete detailed Guide to Saudi Arabia’s Fast-Growing Hypermarket Chain"

![]() |
Garmi se bachne ki upay |
picchle bar garmi season ki tarah iss bar bhi bohot garmi hoga Garmi ke mahine mein gaon ke logo ka jeena mushkil ho jata hai,khas taur pe gareeb logo ka jo air conditioner efforts nahi kar sakte garmi ke wajah se unko bohot Takleef hota hai lekin Humare paas kuch tarike hai Garmi Kam karne ki agar ye tarike apnaayein toh bina AC aur cooler ke bhi ghar ko thanda rakha ja sakta hai. Aaiye jaante hain kuch desi aur effective tareeke jo rural area mein bhi kaam aate hain.
![]() |
Bina ac ke ghar ko thanda rakhne ki sasta upay |
Mitti aur gobar ka lep chhat pe lagane se garmi kam hoti hai. Yeh ek traditional aur chemical-free tarika hai jo natural insulation deta hai.
White chuna ya safed paint chhat par lagane se dhoop reflect hoti hai aur ghar ke andar garmi nahi jaati.
Thick mitti ke eet se bani deewar garmi mein andar ka temperature low rakhti hai. Yeh natural insulation deta hai.
Deewar ke bahar bel, tulsi, ya money plant lagayein. Yeh garmi ko rokta hai aur hawa bhi deta hai.
Opposite deewaron pe khidki banana chahiye jisse ek side se hawa aaye aur dusri se nikle.
Khidkiyon par bamboo ya jute ke curtain lagayein. Yeh dhoop bhi rokte hain aur hawa bhi aane dete hain.
Bada matka aur fan ka use karke simple matka cooler banaya ja sakta hai jo hawa ko thanda karta hai.
Window pe geela kapda latkane se hawa thandi ho jaati hai. Yeh ek simple aur zero cost jugad hai.
Neem, peepal, amrud jaise pedon se ghar ke aas-paas natural shade banta hai. Ped hawa saf karte hain aur temperature kam karte hain.
In sab desi jugadon se gaon ke ghar ko aap thanda rakh sakte hain bina zyada kharch ke. Yeh tarike nature-friendly bhi hain aur health ke liye bhi better.
Comments
Post a Comment